Thursday, September 3, 2009

Raat ke do baj aaye

Raat ke do baj aaye
phel chuke sannate saaye
zakhmo ki hariyaali chup hai
dard ke ped aaseb zada hain
suraj ki daali daali chup hai

apne dukhte dil se keh do
neend ke jangal me kho jaye
kaafi jaag liya so jaaye

door pahadi ke sur jaage
mast hawa ne li angdaayi
raat ne apni lat jhatkayi

kaun ye rogi jogi hoga
jiski jog bhari asthaayi
bhairav ki paazeb se uljhi
saans ki sargam se takraayi

kisi ke hontho ki khushboo ne
bansuriyaa ki laye mehkaayi

apne dukhte dil ki se keh do
sabke pardesi ek jaise
                   sabke sanwariyaa harjayii……………!!!



_________________

No comments:

Popular Posts