Gar chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil
tu tasawwar k giran qadr aaenou main basi
ek khamoosh se be lous ebarat parh lo
jis ka mafhoom agar samjho tu behad saada
her takhaiul ki bulandi per hai mehw-e-parwaaz
dil ki qemat na kabhi saym-o-jawaher main mili
na he ye bandisha-e-halaat-e-zamana main mili
kis ne dekha hai kise phool ki khushbo ko kabhi
kaun choo sakta hai parbat ki sadaoun ko kabhi
kia kise aankh se le saktay ho tum aanso ko kabhi
kia chora saktay ho taron se eski kirnoun ko
pher bhe chaho k ada kar sako tum qemat-e-dil
Piyaar ki aanch main jal gaey lamhay laa do
tumhari yaad main chalaktay hain jo aanso laa do

No comments:
Post a Comment