Thursday, April 15, 2010

Abhi to mein jawan hon

Abhi To Mein Jawan Hon
***********************

Abhi to mein jawan hon

hawa bhi khush gawar hay, gulon pe bhi nikhar hay
tarannum hazar hay, bahar pur bahaar hay
kahan chala hay saqiya
idhat to laot idhar to aa
aray ye dekhta hay kia
utha suboo, suboo utha
suboo utha piyala bhar, piyala bhar kay day idhar
chaman ki samt kar nazar, saman to dekh be khabar
woh kali kali badliyn
ufq pe ho gain ayaan
woh aek hujoom e maikashan
hay soo e maikada rawaan
ye kia guman hay bad gumaan, samajh na mujh ko natawaan
khayal e zuhud abhi kahan

abhi to mein jawan hon

Na gham kashood o bast ka, buland ka na past ka
na bood ka na hast ka, na wada e alast ka
umeed aur yaas gum
hawas gum qayas gum
nazar say aas paas gum
huma, bajuz gilaas gum
na may mein kuch kami rahay, qadah say hamdami rahay
nishist ye jami rahay, yehi huma humi rahay
woh raag chhaird mutrubaa
tarab faza, alam ruba
asar sadaa e saaz ka
jigar mein aag day laga
har ek lub pe ho sadaa, na hath rok saqiya
pilayay ja pilayay ja
abhi to mein jawan hon

No comments:

Popular Posts