Thursday, April 15, 2010

mere hathon mein ub qalam day do

mere hathon mein ub qalam day do

khudara mujh say yeh ranj-o-alam lay lo

in hathon say dhoop kee jalan lay lo

daikho naa girnay do mujhay youn keechar mein

mujhay bhee kuch ja-o-hasham day do

kiya hua agar kuch kamzor hoon tum say

hoon to tum saa magar door hoon tum say

hamaray dermian ana kee deewar kharee hei

aaj iss ana kee hud kee jaan lay lo

mere hathon mein ub qalam day do

kabhee naa nikalnay walee ahon ko suno

in aansoo peetee ankhon ko takko

kiya tum ko ranj nahin nazar ata

jo raat ko sonay naa day

woh dard nahin nazar ata

mere yeh sub dard mujh say lay lo

mere hathon mein ub qalam day do

daikho phir mein kaghaz to naa chunoon gaa

baarish mein darakht talay to naa chuppoon gaa

dhoop mein nangay sir naa chaloon gaa

ho sakta hei mere paaoon bhee saaf rahain

mein anay walay din say to naa deroon gaa

agar zulm hua mujh per to keh to sakoon gaa

mujh ko bhee ik zuban day do

mere hathon mein ub qalam day do

No comments:

Popular Posts