Thursday, April 15, 2010

Ye Ajeeb Fasl e Firaaq Hay

Ye Ajeeb Fasl e Firaaq Hay
***********************

Ye ajeeb fasl e firaaq hay
keh na lab pe harf e talab koi
na udasion ka sabab koi
na hujoom e dard kay shaoq mein
koi zakhm ab kay hara hoa
na kaman badast adoo howay
na malamat saf dostan
pa ye dil kisi say khafa hoa
koi taar apnay libas ka
na hawa nay ham say talab kia

Sar rehguzar wafa bardhi
na dia jalanay ki aarzoo
be chara gham do jahan
na koi masih na charagar
na kisi khayal ki justajoo
na khalish kisi kay wisaal ki
na thakan reh mah o saal ki
na dimagh ranj rukh butan
na talash lashkar na sahan

Wohi aek haal hay zabt ka
wohi aek chal hay deher ki
wohi aek rang hay shaoq ka
wohi aek rasm hay sheher ki

Na nazar mein khaof hay raat ka
na fiza mein din ka hiras hay
pay arz haal sukhanwaran
wohi ham sukhan hay rafiq jaan
wohi ham sukhan jisay dil kahen
woh to yon bhi kab ka udaas hay

No comments:

Popular Posts