Thursday, April 15, 2010

Apne Hathon Ki Pouro Ki Hiddat

Apne Hathon Ki Pouro Ki Hiddat
Jinhone Mere Hathon Ko Chhua Tha,
To Jaise Dafatan
Dil-E-Sehra Mein Barish-E-Wafa Ka Chal Pada Tha Silsila Sa,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Apni Nazrein Jo Takra Gayi Thi Achanak,
To Ye Gumaan Sa Hua Tha,
WaQt Jaise Tham Sa Gaya Hai,
Labon Se Ada Na Ho Saki Thi,
Kitni Ankahi Baatein Phir Bhi,
Aankone Bina Ruke Keh Thi Dali,
Phir Jhuk Bhi To Gaye The Sharma Ke,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Apni Khuli Zulfon Ko Yunhi Hawa Mein Lehrate,
Ke Dil Ab Tak Is Manzar Se Bhara Nahi Hai,
Hawayein Jo In Zulfon Mein Se Hote Hue Mujh Tak Pahuchti Thi,
To YaQeen Jaano Ke Main,
Bagh-E-Bhayshat Ki Pur Muatar Hawaon Mein Rach Bas Jata Tha,
Abhi Kuch Der Aru Rehne Do,
Wo Chehre Ki Muskaan,
Apne Chehre Par Bante Bigadte Zawiyah,
Jinki Masoomiyat Par
Main Hans Padta Tha,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Wo Saare Kisse,
Wo Saari Baatein,
Wo Saari Yaadein,
Wo Saare Manzar,
Dil Ab Tak Muztarib Hai,
Fariyad Yehi Kar Raha Hai,
Wo Sara WaQt Jo Ek Pla Mein Hai Beeta,
Beet Gaya Hai,
So Use Guzar Bhi Jana Tha,
Magar Wo Kash Beetta Theher Theher Ke,
Kayi Sadiyon Ka Safar Hota Inke Darmiyan,
Zindagi Kab Shuru Ho Kar Khatam Bhi Ho Jati,
Pata Bhi Na Chalta,
So Apni Dilki Yaadonki,
Tasveer Un Haseen Mulakaton Ki,
Yehi Kehti Hai,
Yehi Kehti Rahegi,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do,
Abhi Kuch Der Aur Rehne Do...

No comments:

Popular Posts