Thursday, April 15, 2010

Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka

Suna hoga buhat tumney, kaheen aankhon ki rim-jhim ka
kaheeN palkon ki shabnam ka
parha hoga buhat tumney, kaheeN lehjey ki baarish ka
kaheeN saagar k aansoo ka
magar tumney kabhi humdam
kaheeN dekhey? kaheeN parkhey?
kisi tehreer ke aansoo?…!
mujhey teri judaai ney, yehi me’raaj bakhshi hey
ke meiN jo lafz likhti hooN.. wuh saarey lafz rotey heiN
ke meiN jo harf bunti hooN..wuh sarey bain kartey heiN
merey sung is judaai meiN… merey alfaaz martey heiN
sabhi Tareef kartey heiN …meri tehreer ki lekin…
kabhi koi nahi sunta…merey alfaaz ki siski
falak bhi jo hilaa daaley
merey lafzoN mein heiN shaamil…ussi taseer ke aansoo
kabhi dekho merey humdam
meri tehreer ke aansoo…!!!

No comments:

Popular Posts