Thursday, April 15, 2010

Chak dil, chak jigar, noha giran e hasti

DASHT E WAFA
***************

Chak dil, chak jigar, noha giran e hasti
apnay bigrday howay halat ka gham khatay rahay
aek muddat say ghalat bakhshi e dunya kay tufail
arsa e zeest mein jinay ki saza patay rahay
qehet o iflas kay mahol mein aankhen kholin
aahon aur ashkon ki aaghosh mein parwan chardhay
adl o insaf kay aewanon mein faryad kunan
jurm e haqgoyay ki padash mein be maot maray

Jab bhi esaar talab aayay maqamat kahin
rehnumaon ka bharam khaak mein miltay dekha
yon to kehnay ko kai aek sharik e gham thay
gham gusari kay liyay koi na aagay aaya
karwan lut kay bhi bardhtay rahay manzil kay kiyay
tazkaray chhord gayay garmi e mehfil kay liyay

Raqs e bismil say ebarat hay hayat e taza
aur yehi raqs gham e zeest ka darman thehra
nashtar e subh e tarab say to na kuch baat bani
dashna e shaam e alam silsila e jumban thehra
daman e shoq mein kanton kay siwa kuch bhi nahi
koi ham sa na yahan be sar o saman thehra
ham hen woh sookhta jan jinko sar dasht e wafa
halqa e dar o rasan gaisoo e janaan thehra

Re dard ki toqir ko shorida saran
marhala koi bhi ho dil say beham rakhtay hen
zulmat e waqt mein bhartay hen wohi rang e shafq
har nafs lut kay bhi jo lutnay ka dam rakhtay hen

Sar e maqtal jo hamin hen woh tamasha ho ga
chashm e khooban nay jisay pehlay na dekha hoga

No comments:

Popular Posts