Thursday, April 15, 2010

Ye zard mousam ke khushk pattay

Ye zard mousam ke khushk pattay
Hawa jinhain le gaii urra ke
Agar kabhi in ko dekh pao
To soch lena
Ke in main her berg ke nimoo main
Ziyan gaya arq shaakh-e-gul ka
Kabhi ye sarsabz konplain thi
Kabhi ye shaadab bhi rahi hain
Khulay huay hont ki tarah or shagufta bohat dino tak
Ye sabz pattay
Hawa ke railay main be-basi se tarap chukay hain
Magar ye ab khushk ho rahey hain
Magar ye ab khushk ho chukay hain
Agar kabhi iss taraf se guzro
To dekh lena
Barhana shaakhain hawa ke dil main garrii huee hain
Ye ab tumharey liye nahin hain

No comments:

Popular Posts