Thursday, April 15, 2010

Chalo chhordo

Chalo Chordo
**************

Chalo chhordo !
muhabbat jhoot hay
ahd e wafa ek shughal hay bekaar logon ka
talab, sookhay howay patton ka be ronaq jazirah hay
khalish, demak zada aoraaq par bosida satron ka zakhirah hay
khumaar e wasl, tapti dhoop kay sinay par urdtay baadlon ki raaigan bakhshish
ghubaar e hijr, sehra me surabon say atay maosam ka khumyaza

chalo chhordo !

Keh ab tak main andheron ki dhmak me saans ki zarbon pe
chahat ki bina rakh kar safar karta rahon ga
mujhay ehsaas hi kab tha
keh tum bhi maosmon kay saath apnay perhan kay
rang badlo gi !

Chalo chhordo !

Woh saray khwab kachchi bhurbhuri mitti kay be qimat gharoonday thay
woh saray zaaiqay meri zuban par zakhm ban kar jam gayay hon gay
tumhari ungliyon ki narm poren patthron par naam likhti thinmera lekin
tumhari ungliyan to aadatan ye jurm karti thin

Chalo chhordo !

Mera hona na hona aek barabar hay
tum apnay khaal o khid ko aaynay me phir nikharnay do
tum apni aankh ki basti me phir say ek naya maosam utarnay do
mray khwabon ko marnay do
nai tasveer dekho
phir naya maktoob likho
phiy nayay maosam nayay lafzon say apna silsila jordo
meray mazi ki chahat raaigan samjho
meri yadon say kachchay rabtay tordo
chalo chhordo...!!
Muhabbat jhoot hay
ahd e wafa aek shughal hay bekaar logon ka

No comments:

Popular Posts