Thursday, April 15, 2010

Mere Jism-o JaaN Ke Her Eik Rishtay Se Muat'bar

Mere Jism-o JaaN Ke Her Eik Rishtay Se Muat'bar,
Mere Humsafar
Tujhay Yaad HeiN! Tujhay Yaad HeiN!
Wo Ju QurbatooN Ke Saroor MeiN
Teri Aarzoo Ke Hassaar MeiN
Meri KhwahishooN Ke Wafoor MeiN
Kai Zaaiqay Thay Ghulay Hovay
Dar-e GulistaaN Se Bahaar Tak
Wo Ju Raastay Thay Khulay Hovay!
Sar-e Loh-e JaaN,
Kisi Ajnabi Si Zabaan Ke
Wo Ju Khush'numma Se Haroof Thay!
Wo Ju Sarkhushi Ka Ghubaar Sa Tha Chaar Soo
JahaN Ek Doojay Ke Ru'Baru
HummeiN Apni Rooh'ooN MeiN Phailthi Kisi Nagh'maggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Milli
HummeiN Roshni Ki Nazar Milli Tou Ju Raiza Raiza Se Ux Thay
Wo BeHm Hovay
Wo BeHm Hovay Tou Pata Challa
Ke Ju Aag Si Hei Shar'rar FishaaN Meri khaak MeiN
Ussi Aag Ka
Koi Un'bhujha Sa Nishaan Hei, Teri Khaak MeiN!
Essi Khaak'daaN MeiN Wo Khwaab Hei
Jissay Shakal Dene Ke Waastay
Yea Ju Shash'juhaat Ka Khel Hei, yea RavaaN Hova
Esi Roshni Se MakaaN Banna, Esi Roshni Se ZamaaN Hova
Yea Jo Her GumaaN kA Yaqeen Hei!
Wo Ju Her YaqeeN Ka Gumaan Tha !
Essi DastaaN Ka Byaan Tha!!!




Kisi Dhyaan Ke, Kisi Taaq Per, Hei Dhara Hova
Wo Jo Eik Rishta-e Dard tha
Mere Naam Ka Tere Naam Se,
Teri Subh Ka Meri Shaam Se,
Sar-e Rah'guzzar Hei PaRa Hova Wohi Khwaab-e JaaN
Jissay Apni AankhooN Se Dekh Lene Ke Waastay
Kai Laakh TaarooN Ki SeeRiyooN Se Uttar Ke Aati Thi KehkashaaN,
Sar-e AasmaaN
Kis Abbr Paaray Ki OoT Se
Ussay Chaand Takta Tha Raat Bhur

Mere Hamsafar
Ussi Rakht-e Gham Ko SamayT'tay
Ussi Khwaab-e JaaN Ko SaNbhaaltay
Mere Raastay, Kai RaastooN MeiN Ulajh gaye
Wo Chiraagh Jo Mere saath Saath Thay, Bujh Gaye
Wo Ju ManzileiN
Kisi aur Manzil-e Bay'nishaaN Ke Ghubaar-e Rah MeiN Kho GayeiN
(Kai Was'wasooN Ke Fishaar MeiN shabb-e Intazaar Si Ho GayeiN)
Wo Tanaab-e Dil Ju UkhaR Gayee
Wo Khyaam-e JaaN Ju UjjaR Gaye
Wo Safeer Thay, Ussi Daastaan-e Hayaat ke
Ju Warq Warq Thi Bharri Hoi
Mere Shoq Se Tere Roop Se
KahiN ChhaaooN Se, KahiN Dhoop Se




Mere Hamsafar,
Tujhay Kiya Khabbar!
Yea Jo Waqt Hei Kisi Dhoop ChhaooN Ke Khail sa
issay Dekhtay, issay Jheeltay
Meri Aankh Gard Se uTT Gai
Mere Khwaab Rait MeiN Kho Gaye
Mere Haath Barf Se Ho Gaye

Mere Be'Khabbar, Tere Naam Per

Wo Jo Phool Khiltay Thay HooNt Per
Wo Jo Deep Jaltay Thay Baam Per
Wo NahiN Rahe
Wo NahiN Rahe Ke Ju Eik Rabt Tha DarmiyaaN, Wo Bikhar Gaya
Wo Hava Challi
Kisi Shaam Aisi Hava Chali
Ke Ju Barg Thay Sar-e Shaakh-e JaaN, Wo Girra Diye
Wo Jo Harf Darj Thay Rait Per, Wo uRRa Diye
Wo Ju RaastooN Ka Yaqeen Thay
Wo Ju ManzilooN Ke Ameen Thay
Wo Nishaan-e Pa Bi MiTTa Diye!

Mere Hamsafar,

Hei Wohi Safar
Maggar Eik MoR Ke Fark Se
Tere Haath Se Mere Haath Tak
Wo Ju Haath Bhur Ka Tha Faasla
Kai MausamooN MeiN Badal Gaya
Ussay Naaptay, Ussay KaaT'tay
Mera Saara Waqt Nikal Gaya

Tu Mere Safar ka Shareek Hei
MeiN Tere Safar Ka Shareek HooN
Pe Ju DarmiyaaN Se Nikal Gaya
Ussi Faaslay Ke Shummaar MeiN
Ussi Be'yakeeN Se Ghubaar MeiN
Ussi Rah'guzzar Ke Hassaar MeiN

Tera Raasta Koi Aur Hei
Mera Raasta Koi Aur Hei


********************

No comments:

Popular Posts