Thursday, April 15, 2010

Milo hum say

Milo hum say

K hum bichray hoey hein
Tabeer jiwan
Hamaray answoon mein aarzowon ki kasak wesi nahi ab kay
Dilon mein dar bhi pehlo badal kar aur ban betha
Hamari sham ab roay tu palkoon say judae ke jaga mayoosion ka gham tapakta hay
Hamara dill dil-e-veeran ho kar bhi kis kay dard ki khuwahish nahi karta

Milo hum say
Hamara haal bhi dekho
Muhabbat kay marahal jiss taraha say sar kiay hum nein
Laho ko bhi paseena aa gia aksar
Hamaray cheethray pagal hawa jesay urda lati thee basti say
Shab-e-heraan say poocho
Shab-e-veeran heart say hamein takti tu kehti
Mujtama ho kar yahan say laut aakhir kion nahi jatay

Milo hum say
Hamein tanhae kehti hay
Mujhay bhi sath he rakho
Hamein tanhae yeh kehti hay aur daman pakar kar
saath chal parti hay basti men
Wo jiss shab
Tum ne anay ka kaha lekin aye
Usii pal say sitaray raaat say bichay hoey hein
Aur kae jungle bhari barsaat say bichray hoay hein
Ab kahan ho tum
Milo hum say , milo hum say
Hum apni zaat say bichray hoay hein

Milo hum say
Hamaray dard say khelo
Hamein lachar rehnay do
Mery jaan tum sitaray tord lanay ki jahan bhi bat krtay ho
Hamaray haath rotay hein
Hamar dill bhi rota hay
Tumharay bhoolpan ki shaklein ya mushkilon ka bhoolpan
Aksar hamein bimar rakhta hay
Milo hum say hamari khaak rahoon mein uraao
Aur hamari gard say khelo
Zuban par na samajh baton kay ilzamat ki bochar kr do
Aur sakoot-e-zard say khelo
Galay lag kar hamari khuwahishoon ke barf kay asraat kheelo
Aur sansoon ki hawa-e-sard say khelo
Samandar paar karnay ka musamam khuwaaab dekhin
Aur phir taabeer say nazrein churain
Kesa lagta hay ?
Hum apnay sahilon par adh khilay jin bandbanoon say bandhay hein badbaan
Kab hein
Saleeboon ne bhala kab kashtiyaan uss par lagnay deein
Hamari raat hum say baat karti hay tu barsatein barasti hein
Hamari shaam tera naam leti hay tu kitnay kaam aa partay hein sar par
Aur hamari dopehar jinta safar kar lay kahin chaoon nahi milti
Hum esay he saaebaani kay

Milo hum say
Hamein dhondho
Hamein dhondho k aksar hum khud apnay jism men hotay hoey bhi door itni door
Hotay hein k hum ko laut anay men bhi khasa waqt lagta hay
Hum apni zaat men kafi muyassar ho kay bhi kafi nahi hotay
Hum apnay ziker men miltay hein phir bhi baat pori ho nahi pati
Hamein dhondho
Hum apni shaeri men zarra zarra qatra qatra bat chukay hein
Aur kisi kal ko tarstay hein
Hamara markzaa janay kahan taqseem kar bethi hay mehroomi
Hamara daira tanhaion nein toord dala hay
Hamein bay simtoon nein iss tarha say mord dala hay k ab koi
Taaeyan he nahi baqi
Hamar naqsh-e-pa tak khaak nein esay ulat mara hay jesay
Badnaseeb mehnatoon kay saath koi haath karti hay
Hamein dhondhon
Hmein chehra badalnay men muharat hay
Hum apnay dard ko' ehsaas ko' jazbay ke komalta ko
Apni narm khoni ko
Hum apnay apnay soz ko ankhon say zahar kion karein
Apni karahon ko zubaan par kiss tarha laiein
Hum apnay answoon ko apnay rukhsaron par akhir kion barasnay dein
Zaman to zamana hay
Hum apna aap akhir kion Karin iss kay hawalay
Aur kion kar sonp dein iss dil ko dill-o-jaan raakh kar denay ko
Sab kuch khaak kar denay ko
Akhir kion karein iss kay hawalay rooh bhi apni

Milo hum say
Hamaray shehr mein aao
Bohat aram hay , khushion ki khuwahish ,khoon roti hay
Bohat he amn hay , qatal sukoon mein hein , inhein pora tahaffaz hay

Milo hum say
Hamaray shehr ki galiyaan . hamaray dard say bojha wadedon ki tarha har bohat
Veraan pheli hay
Hara chouk aye din kisi ki laash par matam kay markaz hein
Hamaray shehr kay bazaar ik dojay ki jebein katnay ki
Tarbiat gahein banay maqsad mein poray hein
Hamaray ghar hamein heraan verani say taktay hein tu lagta hay
Hamary aur in kay darmiaan kuch wehshiaana se ajab ik ajnabiat hay
Hamaray shehra kay gulshan muhabbat karnay walon ke bajae aur logoon say bharay
Rehtay hein aksar he
Wahan mil beth kar ik dosray say piyar ki batein nahi mumkin
Bhat khauf ata hay
Waha peroon pay koyal ke jaga kawway hein
Ko ko ke jaga kain kain ke
Sadaein reh gae hein dil jalanay ko
Hamaray shehr ki eke k sara par maut chalti hay
Kae galian tu qadmoon ko gawara he nahi kartein
Dukanon par sabhi ashiya hamari arzowon par lapakti hein jhpat'ti hein
Tuallaq mein bharay bazaar be zaaari say agay barh nahi saktay
Hajom-e-bekaran betaab bhaga phir raha hay
Rastooon par bad shogooni par
Wasael kay masael men ghidray hum apnay sinay men kisi bhi dard kay sael
Say munkar hein

Milo hum say
Magar kuch dard say , takay hamar roshni roshan rahay
Warna andhera he andhera hay
Hamaray shehr mein aao
Tumhein tareekian sehnay ki adapt daal dein gay hum

Milo hum say
Hamein aizaaz hasil hay
Hum apnay zakhm shanoon par sajae
Shaan say phirtay hein basti men
Hamaray zakhm zinda hein
Kisi kay aib ke jhooti gawai par nahi mael
Muhabbat nain waktann fowaktann jiss tarha charkay lagae
Aur wafa nein khoon ro ro kar jo sab waday nibhae
Zakham ban ban kar
Hamari shurkhroe kay silay men parwarash patay rahay hein
Ab hum apni beqarari par bohat khush hein
Kasak sachi ho aur dill mein kahin koi seh kar na bethi ho
Tu lachari nahi aati
Hamaray zakhm taqat hein
Hamein tareek rastoon par diay ban ban kay aagay he bharhatay hein
Hamein aizaaz hasal hay
Hamaray zakhm sachay hein
Khud apnay ko mundmil honay nahi detay

No comments:

Popular Posts