Thursday, April 15, 2010

Yeh lahu Jissay meray ShehroN kay

Yeh lahu
Jissay meray
ShehroN kay
Saaray raasty
gulgooN haiN
Aur har pairhun ka ruNg unnabi hai
Kal kay mausamoN
Aur aanay waalay
SoorajoN
Ka zamzama-gar hai
Chalo tumnay to
Kali surkhiaN
Miqraaz kar daaliN
Sukhan nakhcheer kar daalay
Magar ab in hawaaoN ko bhi roko
Jo tumharay maqtaloN ki laaliaN
Aur taza khooN ki khushbuaiN
Aur unki awaazaiN liyay
GalioN say
BazaroN say
ShahraahoN say ho kar
Har taraf
Qaraya-b-qaraya
Phailti jaati haiN
NaadaaoN
HawaaiN naamwar baunti haiN
Jab qaasid kabootar qaid hotay haiN

No comments:

Popular Posts