Wednesday, May 12, 2010

aj jane ki zid na karo

aj jane ki zid na karo 
yun hi pahlu main baithe raho 
haye! mar jayenge, ham to lut jayenge 
aisi baten kiya na karo 

tum hi socho zara kyun na roke tumhen 
jan jati hai jab uthke jate ho tum 
tum ko apani kasam jan-e-jan 
bat itni meri man lo 

waqt ki qaid main zindagi hai magar 
chand ghariyan yahi hain jo azad hai 
in ko kho kar abhi jan-e-jan 
umr bhar na taraste raho 

kitna masum-o-rangin hai ye sama 
husn aur ishq ki aj meraj hai 
kal ki kisko khabar jane-jan 
rok lo aj ki rat ko

gesuon ki shikan hai abhi shabnami 
aur palkon k saye bhi madahosh hain 
husn-e-masum ko jane-jan 
bekhudi main na rusva karo

No comments:

Popular Posts