ye dag dag ujala, ye shabgazida sahar
wo intazar tha jis ka, ye wo sahar to nahin
ye wo sahar to nahin jis ki arzu lekar
chale the yar k mil jayegi kahin na kahin
falak k dasht main taron ki akhari manzil
kahin to hoga shab-e-sust mauj ka sahil
kahin to ja k rukga safina-e-gam-e-dil
jawan lahu ki pur-asrar shaharahon se
chale jo yar to daman pe kitne hath pare
dayar-e-husn ki be-sabr khwab-gahon se
pukarati rahin bahen, badan bulate rahe
bahut aziz thi lekin rukh-e-sahar ki lagan
bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman
subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan
suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-e-nur
suna hai ho bhi chuka hai wisal-e-manzil-o-gam
badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur
nishat-e-wasl halal-o-azab-e-hijr-e-haram
jigar ki ag, nazar ki umang, dil ki jalan
kisi pe chara-e-hijran ka kuch asar hi nahin
kahan se ai nigar-e-saba, kidhar ko gai
abhi chirag-e-sar-e-rah ko kuch khabar hi nahin
abhi garani-e-shab main kami nahin ai
najat-e-dida-o-dil ki ghari nahin ai
chale chalo k wo manzil abhi nahin ai
No comments:
Post a Comment