garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho
gul khile jate hain wo saya-e-dar to dekho
aise nadan to na the jan se guzarnewale
nasiho, rahbar-o-rahguzar to dekho
wo to wo hain tumhen ho jayegi ulfat mujhse
ek nazar tum mera mahbub-e-nazar to dekho
wo jo ab chak gareban bhi nahin karte hain
dekhanewalo kabhi un ka jigar to dekho
daman-e-dard ko gulzar bana rakha hai
ao ek din dil-e-purkhun ka hunar to dekho
subah ki tarah jhamkata hai shab-e-gam ka ufaq
"Faiz" tabindagi-e-dida-e-tar to dekho
No comments:
Post a Comment