Wednesday, May 12, 2010

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri

na tum mere na dil mera na jan-e-natavan meri 
tasavur main bhi a sakti nahin majaburiyan meri 

na tum aye na chain aya na maut ai shab-e-vada 
dil-e-muztar tha main tha aur thi betabiyan meri 

abas nadaniyon par ap apni naz karte hain 
abhi dekhi kahan hain ap ne nadaniyan meri 

ye manzil ye hasin manzil javani nam hai jis ka 
yahan se aur age barhna ae umr-e-ravan meri

No comments:

Popular Posts