dayam para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main
karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main
'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"
No comments:
Post a Comment