Wednesday, May 12, 2010

dhota hun jab main pine ko us simtan k paon

dhota hun jab main pine ko us simtan k paon 
rakhta hai zid se khench kar bahar lagan k paon 


di sadagi se jan parun kohkan k paon 
hai hat kyon na tut gae pirazan k paon 


bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye 
hokar asir dabte hain rahzan k paon 


marham ki justaju mein phira hun jo dur-dur 
tan se siwa figar hain is khasta tan k paon 


Allah re zauq-e-dashtanwardi k baade-marg 
hilte hain khud-ba-khud mere andar kafan k paon 


hai josh-e-gul bahar mein yan tak k har taraf 
urte hue ulajhte hain murg-e-chaman k paon 


shab ko kisi k khwab mein aya na ho kahin 
dukhte hain aj us but-e-nazukbadan k paon 


'ghalib' mere kalam mein kyon kar maza na ho 
pita hun khusro-e-shirinsukhan k paon

No comments:

Popular Posts