Wednesday, May 12, 2010

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna 
tumhen qasam hai hamare sar ki hamare haq main kami na karna 

kahan ka ana kahan ka jana vo jante hi nahin ye rasmain 
vahan hai vade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna 

hamari mayyat pe tum jo ana to char ansu baha k jana 
zara rahe pas-e-abaru bhi kahin hamari hansi na karna 

vo ik hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil k chalna 
ye ek sheva tera sitamagar ki dost se dosti na karna

No comments:

Popular Posts