bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona
giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona
jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona
ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona
le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona
ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona
ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona
haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib'
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona
No comments:
Post a Comment