dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzn hain
teri avaz k saye tere honthon k sarab
dasht-e-tanhai main duri k khas-o-khak tale
khil rahe hain tere pahlu k saman aur gulab
uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
apni khushbu main sulagti hui madham madham
dur ufaq par chamakati hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai
dil k rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath
yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq
dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat
No comments:
Post a Comment