Wednesday, May 12, 2010

bazicha-e-atfal hai duniya mere age

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur 
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age 


hota hai nihan gard mein sehra mere hote 
ghista hai jabin khak pe dariya mere age 


mat puch k kya hal hai mera tere piche 
tu dekh k kya rang hai tera mere age 


sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun 
baitha hai but-e-aina sima mere age 


phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar 
rakh de koi paimana-e-sahba mere age 


nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra 
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age 


iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr 
kaba mere piche hai kalisa mere age 


ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam 
majnun ko bura kahti hai laila mere age 


khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate 
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age 


hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho 
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age 


go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai 
rahne do abhi sagar-o-mina mere age 


hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera 
'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age

No comments:

Popular Posts