ham parawarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
asbab-e-gam-e-ishq baham karte rahenge
wirani-e-dauran pe karam karte rahenge
han talkhi-e-ayyam abhi aur bharegi
han ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
manzur ye talkhi ye sitam ham ko gawara
dam hai to madawa-e-alam karte rahenge
maikhana salamat hai to ham surkhi-e-may se
tazin-e-dar-o-bam-e-haram karte rahenge
baqi hai lahu dil main to har ashk se paida
rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
ek tarz-e-tagaful hai so wo un ko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so ham karte rahenge
No comments:
Post a Comment