Wednesday, May 12, 2010

gulon main rang bhare, bad-e-naubahar chale

gulon main rang bhare, bad-e-naubahar chale 
chale bhi ao k gulshan k karobar chale 

qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho 
kahin to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale 

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho agaz 
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale 

bara hai dard ka rishta, ye dil garib sahi 
tumhare nam pe ayenge gamgusar chale 

jo ham pe guzari so guzari magar shab-e-hijran 
hamare ashk teri aqabat sanwar chale 

huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ki talab 
girah main le k gareban ka tar tar chale 

maqam 'Faiz' koi rah main jacha hi nahin 
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale

No comments:

Popular Posts