Thursday, September 3, 2009

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
Is daur k rasm riwajon se,
In tahton se inn tajon se,
Jo zulm ki kokh se jante hain,
Insani khoon se palte hain,

Jo nafrat ki bunyadain hain
Aur khoni khet ki khadein hain,

MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Wo jin k hont ki jambish se,
Wo jin ki aankh ki larzish se,
Qanoon badalte rehte hain,
Aur mujhrim palte rehte hain,

In choroon k sardaron se
Insaaf k pahre daron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Jo aurat ko nachwate hain,
Bazar ki jins banwate hain,
Phir is ki asmat k gham main,
Tehrikain bhi chalwate hain,

In zalim aur badkaron se
Bazaar k in mamaron se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Jo qoam k gham main rote hain,
Aur qoam ki dault dhote hain,
Wo mehlon main jo rehte hain,
Aur baat ghareeb ki kehte hain,

In dhoke baz luteron se
Sardarun aur waderon se
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

MAZHAB K JO BYOPARI HAIN,
WO SAB SE BARI BEMARI HAIN,
WO JIN K SIWA SaB KAFIR HAIN,
JO DEEN KA HARF-E-AKHIR HAIN,

IN JHUTE AUR MAKKARON SE
MAZHAB K THEKEDARON SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

JAHAN SANSOON PE TAZERAIN HAIN,
JAHAN BIGRI HOI TAQDERAIN HAIN,
ZATOON K GORAKH DHANDE HAIN,
JHAN NAFRAT K YE PHNDE HAIN,

SOCHON KI AESI PSTI SE
IS ZULM KI GANDI BSTI SE
MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

Mere hath main haq ka jhanda hai,
Mere sir pe zulm ka phanda hai,
Main marne se kab darta hon,
Main moat ki khatir zinda hon,
Mere khoon ka suraj chamke ga
To bacha bacha bole ga

MAIN BAGHI HON
MAIN BAGHI HON
JO CHAHE MUJH PE ZULM KARO

2 comments:

Anonymous said...

A woderful poetry
thanks for this valuable upload

Munam shah Bhaghi

FAYSAL'S POETRY said...

thanks dear...........

regards,
faysal

Popular Posts