aur kuchh der yooN hii shor machaaye rakhiye
aasmaaN hai to usey sar pe uThaaye rakhiye
uNgaliyaaN gar nahiiN uTheiN, to na uTheiN lekin
kam se kam us kii taraf aaNkh uThaaye rakhiye
baarisheN aatii haiN toofaan guzar jaate haiN
kohsaaroN kii tarah paaNv jamaaye rakhiye
khiRhkiyaaN raat ko chhoRha na kareN aap khuliiN
ghar kii hai baat to phir ghar meN chhipaaye rakhiye
ab to aksar nazar aa jaata hai dil aaNkhoN meN
maiN na kahtaa thaa ki paanii hai dabaaye rakhiye
kaun jaane ki vo kab raah idhar bhool paRhe
apnii ummiid kii sham'oN ko jalaaye rakhiye
kab se darvaazoN ko dahliiz tarastii hai ''Nizam''
kab talak gaal ko kohanii pe Tikaaye rakhiye
No comments:
Post a Comment