hunar ko Dhoondti phirti thi duniya chaarsoo barson
zamaane bhar kii hamne khaak chhaanii koo-b-koo barsoN
namaaz-e-ishq se pahle bahut kii hai vazoo barasoN
jo dil TooTe to aaNkhoN se Tapaktaa hai lahoo barasoN
ilaahii fan kii duniyaa par kabhii to noor barsaa de
rahe urdu meN taabiNdaa ghazal kii aabroo barasoN
tabassum kii binaa par Dasne wale Das hii lete haiN
saNbhal kar paaliyegaa aastiinoN meN adoo barasoN
hathelii bhooltii jaatii hai sab meNhdii ke gul-booTe
dil-e-aashiq ko rakhtii hai magar ye surkh_roo barasoN
rafoo_gar dete aaye haiN tasallii umr bhar lekin
jo dil par zaKhm aa jaye, nahiiN hotaa rafoo barsoN
''Munavvar'' sumiye taqdeer se ab tak na paRh paye
kitaab-e-zindgii rakhii rahii hai roo-b-roo barasoN
No comments:
Post a Comment