Khand-e-lab se gham-e-dil ko nikhaara jaaye
ziist ka qarz saliiqe se utaara jaye
kisii cheHre pe tabassum, na kisii aaNkh meN ashk
ajnabii shahar meN, ab kaun dubaaraa jaaye
shaam ko baada_kashii, shab ko terii yaad ka jashn
mas'alaa ye hai ki, din kaise guzaaraa jaaye
too kabhii dard, kabhii shola, kabhii shabnam hai
tujhko kis naam se, ai ziist pukaaraa jaaye
Das liyaa hai kisii naagin ne tujhe jazb-e-shauq
ab ye zid kyooN hai, ki zahar utaaraa jaaye
haarnaa baazi-e-ulfat ka hai ik khel magar
lutf jab hai ki, ise jiit ke haaraa jaaye
us muqaddhar ke saNvarne ki duaa kyaa maaNge
jo teree chashm-e-karam se na saNvaaraa jaaye
gham-e-dauraaN, gham-e-jaanaN, gham-e-hastii ''Sahir''
bojh ko_ii bhii ho, sar se na utaaraa jaaye
No comments:
Post a Comment