zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare haiN
log jitne muKhlis haiN zaKhm utne gahare haiN
phool haiN yahaaN kaaNTe, jism haiN yahaaN patthar
kis jahaaN ke vaasi the, kis nagar meN Thahare haiN
ziNdagii ka darvaaza khaT_khaTa ke dekhaa hai
is makaan ke maalik, mar chuke ya bahare haiN
mujrim-e-muhabbat hai sher kii adaalat meN
soch ke salaasal haiN, dard ke kaTahare haiN
kis ke tan kii raNgiinii mauj_zan hai seene meN
aaNkh bhii gulaabii hai, ashk bhii sunahare haiN
bhiigtii hawaaoN ke dosh par chale aao
ghaas ke samaNdar par sabz-sabz lahareN haiN
kaise maiN adab kii had faaNd kar piyooN ''Shahid''
ras bharii un aaNkhoN par jab hayaa ke pahare haiN
No comments:
Post a Comment