wo teer chhoRha huaa to usii kamaan ka tha
agarche haath, kisii aur meharbaan ka thaa
guzar rahaa thaa vo lamha jo darmiyaan ka thaa
magar ye waqt baRhe saKht imtihaan ka thaa
pataa nahiiN, ki judaa ho ke, kaise ziNda rahe
hamaara uska ta'alluk to jism-o-jaan ka thaa
hawaa to chaltii hii rahtii hai is samaNdar meN
qasoor ko_ii agar thaa to, baadbaan ka thaa
vahii kahaanii kabhii jhooTh thii, kabhii sach thii
zaraa sa farq agar thaa to bas, bayaan ka thaa
qadam-qadam pe naye maNzaroN kii hairat thii
tirii galii ka safar thaa, ki ik jahaan ka thaa
ham apne naam ke hisse ko DhooNDhte bhii kahaaN
zamiiN ke paas jo kuchh thaa, aasmaan ka thaa
kahiiN zameen pe saanii nahiiN milaa uskaa
vo shaKhs jaise kisii aur aasmaan ka thaa
No comments:
Post a Comment