kisii jaanib se bhii paracham na lahoo ka nikla
ab ke mausam meN bhii aalam vahii hoo ka nikla
dast-e-qaatil se kuchh ummiid-e-shifa thii, lekin
nok-e-KhaNjar se bhii kaaNTa na guloo ka nikla
ishq ilzaam lagaata thaa havas par kyaa-kyaa
ye munaafiq bhii tere vasl ka bhookha nikla
jii nahiiN chaahta maiKhaane ko jaayeN, jab se
sheKh bhi bazm_nashiiN ahal-e-suboo ka nikla
dil ko ham chhoRh ke duniya kii taraf aaye the
ye shabistaaN bhii usii Ghaaliya_moo ka nikla
ham abas sozan-e-rishta liye galiyoN meN phire
kisii dil meN na ko_ii kaam rafoo ka nikla
yaar be_faiz se kyooN ham ko tavaqqo thii ''Faraz''
jo na apna, na hamaara, na udoo ka nikla
No comments:
Post a Comment