raat charaaGhoN ki mahfil meN, shaamil ek zamaana thaa
lekin saath meN jalne vaalii, raat thii yaa parwaanaa thaa
Khizr nahiiN rahzan hii hogaa, raah meN jis ne looT liyaa
lekin yaaro shak hotaa hai, kuchh jaanaa pahchaana thaa
shab bhar jis rudaad-e-alam par, ashk bahaate guzarii thii
subah hu_ii to hamne jaanaa, apnaa hii afsaanaa thaa
kaun hamaare dard ko samjha, kisne Gham meN saath diyaa
kahne ko to saath hamaare, tum kyaa, ek zamaanaa thaa
log isey jo chaahe kah leN, apnaa to ye haal rahaa
sirf unhiiN se zaKhm mile haiN, jin se kuchh yaaraana thaa
maslahtoN kii is bastii meN, lab khulte, yah taab naa thii
vaz'a junooN kii baat na poochho, vo bhii ek bahaana thaa
talKhi-e-Gham pahuNche the bhulaane, sood-o-ziyaaN meN uljhe haiN
baadaa_faroshoN kii maNDii thii, naam magar mai_Khaanaa thaa
nabz kii Khaatir ham ne apnaa, zauq-e-talab badnaam kiyaa
aaj vahii kahte haiN haNs kar, shaayar thaa, diivaanaa thaa
No comments:
Post a Comment