Tuesday, November 30, 2010

bevazn baat ban ke giraaN_baar aa paRhi



bevazn baat ban ke giraaN_baar aa paRhi
aafat ajiib aaj sar-e-yaar aa paRhii

qadamoN pe apne mujhko jhukaane uThaa thaa vo
paaNoN meN uske apnii hii dastaar aa paRhii

toofaaN se jaNg haar ke fauj-e-shinaavaraaN
saahil pe misl-e-mauj-e-subuk_saar aa paRhii

jab ghar luTe to raat thii, Ghalbaa thaa niiNd ka
majboor ho ke Khalq sar-e-daar aa paRhii

detii thii jisko zuNbish-e-abroo zubaaN ka kaam
ye usko kyoN zaroorat-e-guftaar aa paRhii

is jurm meN ki usne musaafir ko dii panaah
saaye pe apne TooT ke deevaar aa paRhii

baad_az_shikast haath lagaa dostoN ke chup
daaman meN mere jur'at-e-izhaar aa paRhii

ham kaar-o-baar meN the to anmol thii anaa
bikne ko ab ye jiNs bhii baazaar aa paRhii

daur-e-KhizaaN ke baad bhii nam_diida ham rahe
aaNkhoN meN yaad-e-gul sifat-e-Khaar aa paRhii

aavezaaN misl-e-marg-musalsal jo sar pe thii
jaaN chhuT gayii ki mujh pe vo talwaar aa paRhii

jab bhii milii hai uskii nazar se nazar. ''Nazar''
maqte meN ik latiif-sii takraar aa paRhii

No comments:

Popular Posts