vaaizaa ! masjid se ab jaate haiN maiKhaane ko ham
pheNk kar zarf-e-vajoo lete haiN paimaane ko ham
kyaa magas baiThe bhalaa us shola_roo ke saamne
apne daaghoN se jalaa dete haiN parvaane ko ham
tere aage kahte haiN gul khol kar baazoo-e-barg
gulshan-e-aalam se haiN taiyaar uRh jaane ko ham
kaun kartaa hai butoN ke aage sajdaa zaahida
sar ko de-de maar kar toRheiNge butkhaane ko ham
baaNdhte haiN apne dil meN zulf-e-jaanaaN ka Khayaal
is tarah zaNjeer pahnaate haiN deevaane ko ham
aql kho dii thii jo ai ''NasiKh'' ! junoon-e-ishq ne
aashna samjhaa kiye ik umr begaane ko ham
No comments:
Post a Comment