kabhi KhaNda, kabhi giriyaaN, kabhii raqsaaN chaliye
door tak saath tire, umr-e-gurezaaN chaliye
zauq-e-aaraaish-o-gulkaari-e-ashk-e-KhooN se
ko_ii bhii fasl ho, firdaus-b-daamaaN chaliye
rasm-e-deriina-e-aalam ko badal ne ke liye
rasm-e-deriina-e-aalam se gurezaaN chaliye
aasmaanoN se barastaa hai aNdheraa kaisaa
apnii palkoN pe liye jashn-e-charaaghaaN chaliye
shola-e-jaaN ko hawaa detii hai Khud baad-e-samoom
shola-e-jaaN kii tarah chaak_girebaaN chaliye
aql ke noor se dil kiijiye apnaa raushan
dil kii raahoN se soo-e-maNzil-e-insaaN chaliye
gham nayii subh ke taare kaa bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-Khurshiid-e-zar_afshaaN chaliye
sar-b-kaf chalne kii aadat meN na farq aajaaye
koocha-e-daar meN sarmast-o-ghazal_KhwaaN chaliye
No comments:
Post a Comment