Ghaaze kii tah utar gayii, chehra nikhar gayaa
sailaab-e-ashk ab ke baRhaa kaam kar gayaa
ab maiN hooN aur bar'Hna haqaaiq kii talKhiyaaN
goyaa har ek Khwaab ka nashsha utar gayaa
patta giraa to shaaKh kii aaNkheN chhalak paRhiiN
taa'ir uRhaa to peRh judaaii se Dar gayaa
tanhaaiyoN kii shaam baRhii Khaufnaak thii
maiN aap apnii zaat ke andar bikhar gayaa
shahnaaiyoN kii gooNj meN ik chiiKh dab gayii
ik devtaa hayaat ka be_maut mar gayaa
pyaasii zamiin dhoop meN jaltii rahii ''JamaaN''
muNh pher kar qareeb se dariyaa guzar gayaa
No comments:
Post a Comment