kaisa chalan hai gardish-e-lail-o-nihaar ka
shikva har-ek ko hai Gham-e-rozgaar ka
TooTii jo aas jal gaye palkoN pe sau chiraaGh
nikhra kuchh aur husn shab-e-intizaar ka
is ziNdagii kii ham-se haqiiqat na poochhiye
ik jabrr, jisko naam diyaa intizaar ka
Khushboo-e-gul bhii laaii hai yaad-e-chaman ke saath
ehsaan mujh pe yeh hai naseem-e-bahaar ka
yah kaun aa gayaa mirii bazm-e-Khayaal meN
poochha mizaaj kisne dil-e-sogvaar ka
dekho phir aaj ho na kahiiN Khoon-e-etimaad
dekho na TooT jaaye fusooN aitibaar ka
''Mumtaaz'' ho na jaaye muqaddar udaasiyaaN
fasl-e-KhizaaN meN Khwaab na dekho bahaar ka
No comments:
Post a Comment